6/3/11

Sar se chaadar, badan se qaba le ga'yee:Bashir badar

Sar se chaadar, badan se qaba le ga'yee
zindagee hum faqeeron se kya le ga'yee

meri muth'thee main sookhay hu'ai phool hain
khushboo'on ko uRaa ke hawaa le ga'yee

main samandar ke seenay main thaa eik chataaN
raat mouj ek aa'yee, bahaa le ga'yee

meri shou'rat siyasat se mehfooz hai
ye tawaa'ef bhee asmat bachaa le ga'yee

Raat mujh ko jagaa ke kahaa chaand ne
eik laRkee tumhara pataa le ga'yee
By: Bashir badar

No comments: