kabi yuuN be aa meri aaNkh meIN k meri nazar ko Khabar na ho
mujhe ek raat navaaz de magar us ke baad sahar na ho
vo baraa rahim-o-karim hai mujhe ye sifat be ataa kare
tujhe bhul nay ki dua karuuN to dua meiN meri asar na ho
mere baazuoN meiN thaki thaki abi mahav-e-Khvaab hai chaNdni
na uThe sitaaroN ki paalaki abi aahaToN kaa guzar na ho
vo firaaq ho yaa visaal ho, terii yaad mahakegii ek diN
vo gulab ban ke khilegaa kya jo chiraaG ban ke jalaa na ho
kabi dhuup de kabi badliyaa'N,dil-o-jaa'N se dono qubuul haiN
magar us nagar meiN na qaid kar jahaN zindgi ki havaa na ho
kabi din ki dhuup meIN jhuum k kabi shab k phuul ko chuum ke
yuuN hi saath saath chaleiN sadaa kabi Khatm apnaa safar na ho
mere paas mere habib aa zaraa aur dil ke qariib aa
tujhe dharkano meiN basa luuN maiN k bicharne ka kabi Dar na ho
By:Bashir Badar
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment