6/10/11

shayad abhi hai rakh main koi sharar bhi

shayad abhi hai rakh main koi sharar bhi
kyon varna intazar bhi hai iztirar bhi

dhyan a gaya hai marg-e-dil-e-namurad ka
milane ko mil gaya hai sukun bhi qarar bhi

ab dhundhane chale ho musafar ko dosto
hadd-e-nigah tak na raha jab gubar bhi

har astan pe nasiyafarsa hain aj vo
jo kal na kar sake the tera intazar bhi

ik rah ruk gai to thithak kyon gai ‘Ada’
abad bastiyan hain paharon ke par bhe

tum meri ankh k tewar na bhula paoge

tum meri ankh k tewar na bhula paoge
ankahi bat ko samjhoge to yad aunga

ham ne khushyon ki tarah dukh bhi ikathe dekhe
safah-e-zist ko paltoge to yad aunga

isi andaz mein hote the mukhatib mujh se
khat kisi aur ko likhoge to yad aunga

sard raton k mahkate hue sannaton mein
jab kisi phul ko chumoge to yad aunga

ab tere ashk main honthon se chura leta hun
hath se khud inhen ponchoge to yad aunga

shal pahnayega ab kaun decembar mein tumhen
barishon mein kabhi bhigo ge to yad aunga

aj tum mahfil-e-yaran pe ho magrur bahut
jab kabhi tut k bikhroge to yad aunga

hadse ayenge jiwan mein to tum ho k nidhal
kisi diwar ko thamoge to yad aunga

is mein shamil hai meri bakht ki tariki bhi
tum siyah rang jo pahnoge to yad aunga

tumhen jafa se na yun baz ana chahiye tha

tumhen jafa se na yun baz ana chahiye tha
abhi kuch aur mera dil dukhana chahiye tha

tawil rat k pahlu main kab se soi hai
nawid-e-subah tujhe jag jana chahiye tha

bahut qallaq hua hairat gazida tufan ko
k kaun dube kinhen dub jana chahiye tha

bujhe chiragon main kitne hain jo jale hi nahin
sawad-e-waqt inhen jagmagana chahiye tha

ajab na tha k qafas sath leke ur jate
tarapna chahiye tha pharpharana chahiye tha

ye meri har k kar-e-janan se hara magar
bicharne wale tujhe yad ana chahiye tha

taman umr ki asurdagi-e-wasl k bad
firaq akhiri dhoka tha khana chahiye tha

By: Pirzada Qasim,

khun se jab jala diya ek diya bujha hua

khun se jab jala diya ek diya bujha hua
phir mujhe de diya gaya ek diya bujha hua

ek hi dastan-e-shab ek hi silsila to hai
ek diya jala hua ek diya bujha hua

mahfil-e-rang-o-nur ki phir mujhe yad a gai
phir mujhe yad a gaya ek diya bujha hua

mujh ko nishat se fuzun rasm-e-wafa aziz hai
mera rafiq-e-shab raha ek diya bujha hua

dard ki kainat main mujh se bhi raushani rahi
waise meri bisat kya ek diya bujha hua

sab meri raushani-e-jan harf-e-sukhan main dhal gai
aur main jaise rah gaya ek diya bujha hua

By: Pirzada Qasim

ik saza aur asiron ko suna di jaye

ik saza aur asiron ko suna di jaye
yani ab jurm-e-asire ki saza di jaye

uski khwahish hai k ab log na roen na hansen
behisi waqt ki awaz bana di jaye

dasht-e-nadida ki tahqiq zaruri hai magar
pahle jo ag lagi hai wo bujha di jaye

sirf jalna hi nahin hamko bharakna bhi to hai
ishq ki ag ko lazim hai hawa di jaye

sirf suraj ka nikalna hai agar subah to phir
ik shab aur meri shab se mila di jaye

aur ik taza sitam usne kiya ijad
usko is bar zara khul ke dua di jaye
By: Pirzada Qasim

ham se bahal rahe hain ap ap bahut ajib hain

ham se bahal rahe hain ap ap bahut ajib hain
dard main dhal rahe hain ap ap bahut ajib hain

saya-e-wasl kab se hai ap ka muntazir magar
hijr main dhal rahe hain ap ap bahut ajib hain

apne khilaf faisla khud hi likha hai ap ne
hath bhi mal rahe hain ap ap bahut ajib hain

waqt ne arazu ki lau der hui bujha bhi di
ab bhi pighal rahe hain ap ap bahut ajib hain

zahmat-e-zarbat-e-digar dost ko dijiye nahin
gir k sambhal rahe hain ap ap bahut ajib hain

dayarawar hi to hain ishq ke raste tamam
rah badal rahe hain ap ap bahut ajib hain

dasht ki sari raunaqen khair se ghar main hain to kyun
ghar se nikal rahe hain ap ap bahut ajib hain

apni talash ka safar khatm bhi kijiye kabhi
khwab main chal rahe hain ap ap bahut ajib hain

By:Pirzada Qasim

ek se silsile hain sab hijr ki rut bata gai

ek se silsile hain sab hijr ki rut bata gai
phir wahi subah ayegi phir wahi sham a gai

mere lahu main jal uthe utne hi taza dam chirag
waqt ki sazishi hawa jitne diye bujha gai

main bhi ba-pas-e-dostan apne khilaf ho gaya
ab yahi rasm-e-dosti mujhko bhi ras a gai

tund hawa k jashn main log gaye to the magar
tan se koi qaba chini sar se koi rida gai

dil-zadgan k qafile dur nikal chuke tamam
un ki talash main nigah ab jo gai to kya gai

akhir-e-shab ki dastan aur karen bhi kya bayan
ek hi ah-e-sard thi sare diye bujha gai
By: Pirzada Qasim

bedili se hansne ko khush-dili na samjha jaye:Pirzada Qasim

bedili se hansne ko khush-dili na samjha jaye
gam se jalte chehre ko raushni na samjha jaye

gaha gaha wahshat main ghar ki simt jata hun
isko dasht-e-hairat se wapsi na samjha jaye

lakh khushguman duniya bahimi talluq ko
dosti kahen lekin dosti na samjha jaye

ham to bas ye kahte hain roz jine marne ko
ap chahen kuch samjhen zindagi na samjha jaye

khak karne walon ki kya ajib khwahish thi
khak hone walon ko khak hi na samjha jaye

6/8/11

koshish karne walon ki haar nahin hoti

Lehron se Darkar nauka par nahin hoti,
koshish karne walon ki haar nahin hoti

Nanhi cheenti jab daana lekar chalti hai,
chadhti deewaron par, sau bar phisalti hai.
Man ka vishwas ragon mein saahas bharta hai,
chadhkar girna, girkar chadhna na akharta hai.
Akhir uski mehnat bekar nahin hoti,
koshish karne walon ki haar nahin hoti.

Dubkiyan sindhu mein gotakhor lagata hai,
ja ja kar khali haath lautkar aata hai
Milte nahi sahaj hi moti gehre paani mein,
badhta dugna utsah isi hairani mein.
Muthi uski khali har bar nahin hoti,
koshish karne walon ki haar nahi hoti.

Asaflta ek chunauti hai, ise sweekar karo,
kya kami reh gayi, dekho aur sudhar karo.

Jab tak na safal ho, neend chain ko tyago tum,
Sangharsh ka maidan chhodkar mat bhago tum.
Kuch kiye bina hi jai jaikar nahin hoti,
koshish karne walon ki haar nahin hoti.

– Harivansh Rai Bacchan

6/3/11

Aas hogi na aasara hogaa-Bashir Badar

Aas hogi na aasara hogaa
Aane vaale dinon men kyaa hoga

main tujhe bhuul jaaungaa ik din
vaqt sab kuchh badal chukaa hoga

naam ham ne likhaa thaa aankhon men
aansuuon ne miTaa diyaa hogaa

aasamaaN bhar gayaa parindon se
peD koi haraa giraa hogaa

kitanaa dushvaar thaa safar us ka
vo sar-e-shaam so gayaa hogaa
By:-Bashir Badar

Mujh se bichhad ke Khush rehte ho-Bashir Badar

Mujh se bichhad ke Khush rehte ho
meri tarah tum bhi jhute ho

ik tehni par chaand tika tha
main ye samjha tum baithe ho

ujle ujle phool khile the
bilkul jaise tum hanste ho

mujh ko shaam bataa deti hai
tum kaise kapde pehne ho

tum tanhaa duniya se laro ge
bachon si baaten karte ho
By:Bashir Badar

Socha nahe acha bura dekha suna kuch bhi nahe-Bashir Badar

Socha nahe acha bura dekha suna kuch bhi nahe
Maanga Khuda se raat din tere siwa kuch bhi nahe

Socha tujhe, dekha tujhe, chaaha tujhe, pooja tujhe
Meri khata, meri wafa, teri khata, kuch bhi nahe

Jis per hamari aankh ne moti bichaaye raat bhar
Bheja wohi kagaz ussay hum ne likha kuch bhi nahe

Ek shaam ki dehleez per bethay rahe woh dair tak
Aankhoon se keen baatain magar munh se kaha kuch bhi nahe

Do chaar din ki baat hai dil khaak mein so jayega
Jab aag per kaagaz rakha baaqi bacha kuch bhi nahe ...
By:-Bashir Badar

Sar se chaadar, badan se qaba le ga'yee:Bashir badar

Sar se chaadar, badan se qaba le ga'yee
zindagee hum faqeeron se kya le ga'yee

meri muth'thee main sookhay hu'ai phool hain
khushboo'on ko uRaa ke hawaa le ga'yee

main samandar ke seenay main thaa eik chataaN
raat mouj ek aa'yee, bahaa le ga'yee

meri shou'rat siyasat se mehfooz hai
ye tawaa'ef bhee asmat bachaa le ga'yee

Raat mujh ko jagaa ke kahaa chaand ne
eik laRkee tumhara pataa le ga'yee
By: Bashir badar

kabi yuuN be aa meri aaNkh By:Bashir Badar

kabi yuuN be aa meri aaNkh meIN k meri nazar ko Khabar na ho
mujhe ek raat navaaz de magar us ke baad sahar na ho

vo baraa rahim-o-karim hai mujhe ye sifat be ataa kare
tujhe bhul nay ki dua karuuN to dua meiN meri asar na ho

mere baazuoN meiN thaki thaki abi mahav-e-Khvaab hai chaNdni
na uThe sitaaroN ki paalaki abi aahaToN kaa guzar na ho

vo firaaq ho yaa visaal ho, terii yaad mahakegii ek diN
vo gulab ban ke khilegaa kya jo chiraaG ban ke jalaa na ho

kabi dhuup de kabi badliyaa'N,dil-o-jaa'N se dono qubuul haiN
magar us nagar meiN na qaid kar jahaN zindgi ki havaa na ho

kabi din ki dhuup meIN jhuum k kabi shab k phuul ko chuum ke
yuuN hi saath saath chaleiN sadaa kabi Khatm apnaa safar na ho

mere paas mere habib aa zaraa aur dil ke qariib aa
tujhe dharkano meiN basa luuN maiN k bicharne ka kabi Dar na ho
By:Bashir Badar

bhool shayed bohat bari kar le-Bashir Badar

bhool shayed bohat bari kar le
hum ne dunia say dosti kr lee

tum muhabbatko khel kehtay ho
hum ne barbaad zindgy kr lee

sab ki nazrein bacha kay dekh lia
ankhon ankhon mein bat b kar lee

aashiqi mein bohat zaroori hay
bewafae kabhi kbhi kar lee

hum nahi jantay charaghon nein
kion andheron say dosti kar lee

dharkanein dafn ho gae hon gi
dill mein diwaar kion khari kar le
By:Bashir Badar