7/23/10

Barishon ke mosam mein

Barishon ke mosam mein,Tum ko yaad karney ki, Aadatien purani hain!....,
Ab ki bar socha hai, Aadatien badal dalein,
Phir khayal aaya ke ,
Aadatein badalne se, Barishein nahin rukti.

Aaj halki halki baarish hai, Aaj sard hawa ka raqs bhi hai,
Aaj phool bhi nikhre nikhre hain, Aaj un main tumhara aks bhi hai,
---*---
In barishon se adab-e-mohobbat seekho faraz,
Agar yeh ruth bhi jayein to barasti bohot hain.
---*---
Yaadein jaag jati hain,
Barishon ke mausam mein.

Har ghari satati hain
Barishon ke mausam mein.

Shaam bhi kisi surat,
Chain se nahin kat-ti

Subahein bhi satati hain
Barishon ke mausam mein.

Zehen ke jharokhe mein
Jab koi sada ubhre.

Aankhein bheeg jati hain
Barishon ke mausam mein.
---*---
Gham ki barish ne bhi tere gham ko dhoya nahi,
Tu ne mujh ko kho dia maine tujhe khoya nahi.
Nend ka halka gulabi sa khumar ankhon mein tha,
Yun laga jaise woh shab der tak soya nahiiii
Janta hoon ek isi shakhs ko main bhi faraz,
Gham se patthar ho gaya magar roya nahi.
---*---
Dhoop ke unche-Niche rasto ko,
Ek kamre ka balb kya jane!

Sadko, Bazaaro, Makaano, Daftaroo main raat-din,
Laal, Pili, Sabz, Nili, Jalti-bujhati Aurate!

Woh Jafrani Pulowar usi ka hissa hai,
Koyee jo dusra pahane to dusra hi lage!

Baarisho main kisi ped ko dekta,
Saal odhe hoe Bhigta kon hai!

Mujhko Shaam bata deti hai,
Tum kaise kapade pahane hoo!

Saare din ki Thaki, Saahili Ret par,
Do tadapti hoyee machliya soo gayee!

Jhilmilate hai Kastiyoo main diyee,
Pul khade soo rahe hai paani main!
---***---
Makan se kya mujhe lena, Makan tumko mubarak hoo,
Magar yee khas wala resmi kaalin mera hai!!
---***---

No comments: