9/22/11

ye chiraaG benazar hai ye sitaaraa bezubaa.N hai--Bashir Badr

ye chiraaG benazar hai ye sitaaraa bezubaa.N hai
abhii tujhase milataa julataa koii duusaraa kahaa.N hai

vahii shaKhs jisape apane dil-o-jaa.N nisaar kar duu.N
vo agar Khafaa nahii.n hai to zaruur badagumaa.N hai

kabhii paa ke tujhako khonaa kabhii kho ke tujhako paanaa
ye janam janam kaa rishtaa tere mere daramiyaa.N hai

mere saath chalanevaale tujhe kyaa milaa safar me.n
vahii dukh bharii zamii.n hai vahii Gam kaa aasmaa.N hai

mai.n isii gumaa.N me.n baraso.n ba.Daa mutma_in rahaa huu.N
teraa jism betaGaiyyur hai meraa pyaar jaavidaa.N hai

u.nhii.n raasto.n ne jin par kabhii tum the saath mere
mujhe rok rok puuchhaa teraa hamasafar kahaa.N hai

mutma_in = satisfied;
betaGaiyyur = unchanged;
jaavidaa.N = eternal

Parakhna Mat-Parakhne Mein Koyii Aapna Nahiin Rehta-Bashir Badr

Parakhna Mat-Parakhne Mein Koyii Aapna Nahiin Rehta
Kissi Bhii Aaeene Mein Der Tak Chehra Nahiin Rehta

Bade Logon Se Milne Mein Hamesha Faasla Rakhna
Jahaa Dariya Samandar Se Mila-Dariya Nahiin Rehta

Toumhaara Shahar To Bilkul Naye Andaaz Walaa Hain
Humare Shahar Mein Bhi Ab Koyii Hum Sa Nahiin Rehta

Mohabbat Mein Ek Khushboun Hain-Hamesha Saath Chalti Hain,
Koyii Insaaan Tanhaai Mein Bhii Tanhaaa Nahiin Rehta

maiN kab kahtaa huN vo acchaa bahut hai-Bashir Badr

maiN kab kahtaa huN vo acchaa bahut hai
magar us ne mujhe chaaha bahut hai

Khudaa is shah’r ko mahfuuz rakhe
ye bachhoN ki tarah haNstaa bahut hai

maiN har lamhe meN sadiyaaN dekhtaa huN
tumhaare saath ek lamhaa bahut hai

meraa dil baarishoN meN phuul jaisaa
ye bacchaa raat meN rotaa bahut hai

vo ab laakhoN diloN se kheltaa hai
mujhe pehchaan le, itnaa bahut hai

Ujale apni yaadon ke-Bashir Badra

Kabhi to jamin pe chaand utre jaam ho jaaye
Tumare naam ki ek khoobsurat shaam ho jaaye.

Mujhe maloom hai uska thikana kahan hoga
Parinda aasman choone main nakaam hojaye.

Ajab halaat main dil ka sauda hogaya aakhir
Mohabbat ki haveli jis tareh neelaam ho jaye.

Main khud bhi ahtiytan us taref se kam gujerta hoon
Koi masoom mere liye kyon badnaam ho jaaye.

Ujale apni yaadon ke hamare paas rahne do
Na jane kis gali main zindgi ki shaam ho jaaye.