11/7/09

Tere utaare huye din

Tere utaare huye din
tange hai lawn mein ab tak
na woh puraane huye hai
na unka rang utaraa
kahin se koi bhi siwan abhi nahi udhadi

elaichi ke bahut paas rakhe paththar par
zara si jaldi sarkaaya karti hai chaaon
zara sa aur ghana ho gaya hai woh paudha
main thoda thoda woh gamla hataata rehta hoon
fakira ab bhi wahin meri kofi deta hai

gilheriyon ko bulaakar khilaata hoon biscuit
gilheriyaan mujhe shaq ki nazar se dekhti hai
woh tere haathon ka mass jaanti hongi

kabhi kabhi jab utarti hai jhill shaam ki chhatt se
thaki thaki si
zara der lawn mein ruk kar
safed aur gulaabi masumbe ke paudhon mein ghurne lagti hai
ki jaise barf ka tukda pighalta jaye whisky mein

main scarf un din ka gale se utaar deta hoon
Tere utaare huye din pehanke ab bhi main
teri mehak mein kayi roz kaat deta hoon

Tere utaare huye din
tange hain lawn mein ab tak
na woh puraane huye hai
na unka rang utara
kahin se koi bhi siwan abhi nahi udhadi !!
||By:- Sahir Ludhianvi ||