3/8/07

dost

raatain gumanaam hotii hai ,
diin kiisiike naam hotaa hai ,
ham ijandagii kuchh is tarah jiite hai ,
kii har lamhaa siirph dosto k hii nam hotaa hai

3/7/07

inspiration for life.

kyoon kahate ho mere saath kuchh bhii behatar nahii hotaa
sach ye hai ke jaisaa chaaho vaisaa nahii hotaa
koee sah letaa hai koee kah letaa hai kyoonkii gm kabhii jindagii se bad kar nahii hotaa
aaj apano ne hii siikhaa diyaa hame
yahaan thokar dene vaalaa hair patthar nahii hotaa
kyoon jindagii kii mushkilo se haare baithe ho
isake binaa koee manjil, koee saphr nahii hotaa
koee tere saath nahii hai to bhii gm naa kar
khud se bad kar koee duniyaa men hamasaphr nahii hotaa

3/2/07

neend iss soch say tooty aksar kis tarah kut-taty hein raatein osski

chehra mera tha nigaahein osski
Khamoshi mai bhi vo baatein osski

meray cheharay pe gazal likhati gayein
sher kehti hoi aankhein osski

shokh lamhon ka pata denay lagein
tez hoti hoi saansay osski

aisay mausam bhi guzaaray ham nay
subahein jab apni thy shaamein osski

dhyaan mai os ke ye alam tha kabhi
aankh mahtaab ki yaadein oss ki

faisala mauj-e-havaa ne likha
andhiyaan meri baharein oski

neend iss soch say tooty aksar
kis tarah kut-taty hein raatein osski

duur rah kar bhi sada rehta hai
mujh ko thaamey howay baahein osski -

3/1/07

Tamasha na ban jai kanhi mohabbat meri Isliye apne dard ka ijhaar nahi karta

Main labjo se kuchh bhi izhaar nahi karta
Iska matlab ye nahi ki me usse pyaar nahi karta
Chahta hu me use aaj bhi magar
Uski soch me apne waqt bekar nahi karta
Tamasha na ban jai kanhi mohabbat meri
Isliye apne dard ka ijhaar nahi karta
Jo kuchh mila hai usse khush hun main
Uske liye khuda se takrar nahi karta
Par kuchh to baat hai uski fitrat me jalim
Warna use chahne ki khata baar baar nahi karta.

Jab bhi Naam Aata hai Unke Diwano ka Log Meri Taraf Ungliyan Utha dete hain..!

Hanskar Wo Gum ki Saza dete hain,
Zeher mein Thoda sa Pyar Mila dete hain.
Jab bhi Naam Aata hai Unke Diwano ka,
Log Meri Taraf Ungliyan Utha dete hain..!